Shinakht Tu kaun hai, teri shinakht hai kya? Band kamron se purani koi pehchan hai kya? Tanha hai tu iss kamre ki veerani mein, Chehre ko utaarne se ab bhi tujhe inkaar hai kya? Ye log jo tujhe tilism- purfan samajhte hain, Koi bharam hai inka ya tu waqai nayab hai kya? Qurbaniyon ka inaam hai tu ya khudparasti ki misaal hai kya? Danishmando'n mein tera zikr kare koi tu iski haqdaar hai kya? Ye haseen - o-jameili kis kaam ki jab dil khalishon se hai bhara. Khudmukhtari ki sardar hai tu ya ghum tera koi dildaar hai kya? Qurbaton ki tamanna mein hui hai ik umr ravaa, Tujhe tera bhi koi ehsaas hai kya? Kisi ki ashnayi pe bada guroor tha tujhe, tere khaas hone ka bada suroor tha tujhe. Kaun kehta hai Kamil hai tu? Khamiyon ka ik majmua hai bas. Ab bhi ana urooj pe hai, ya dil mein koi ghubaar hai kya? Ae naadaa'n do ghadi thehar to sahi, Zara qarz adaa to kar apne wajood ka, Shayad ho maloom zindagi koi su'ud hai kya? © Kayenat Kamal. #kayenatdiaries shinakht