Is dil ke kamre me kaid, Mere khwabon ki udaane hai... Hasna ik majboori si lagti, Rone ke lakhon bahane hai... Yun to lamha lamha jee rha, Bin tere, lamhe jaise zamane hai... Haara nhi hu, bhale hi toot gya, Abhi to likhne kayi afsaane hai... Is dil ke kamre me kaid, Mere khwabon ki udaanein hai... Goonjenge ye alfaaz mere, Teri tanhayi ke sannaton me, Tadpega tu sunke naam mera, Tere apno ki hi baaton me... Kuch rehem to mujhpe kar zindagi, Kuch taras kha mere halaton pe, Kayi halaton me tune mujhe azmaya hai, Abhi mujhe bhi kuch halaat azmane hai... Khul ke rona to seekh gya, Abhi kayi ansoo chupane hai, Is dil ke kamre me kaid, Mere khwabon ki udaanein hai... #HEERANSH KE PANNO SE