(Rishta kuchh Lafzon ka) Yun to bhaut Door the Hum na beech Humare Koi Rishta tha Na Kabhi mile The na mashoor Humara kissa tha Dil Mera Bhi paak thaa Aur wo Bhi Khuda ka Naik Banda tha bus kuchh Lafzon ka beech Humare ek Beyhadh paak sa Rishta thaa main har pal khuda ka zikrr kiya karti wo bhi bus Khuda Ki hi batein kiya Karta tha wafaye bhi donon dilon mein Shayad Ek Jaisi hi thein mere Liye bhi Insaniyat Sabse Aham thi wo bhi Insaniyat ko hi Sabse badh kar Ahmiyat Diya Karta tha na mil sakenge hum Kabhi Na ye kabhi Mumkin ho sakta tha Bs kuchh Lafzon ka beech Humare ek paak sa Rishta tha. Main Sacchai Likha karti Thi wo Acchhai ki batein likhta tha Main positive batein karti wo Sabar ki batein Karta tha Bus Kuchh lafzon ka beech Humare ek Beyhadh paak sa Rishta tha. Mein Uski Rooh ko pehchaan gayi thi wo Meri Rooh ko samjhta tha Na main Kuchh Us se kabhi kha paungi Na wo kuchh mujh se kabhi kha sakta tha Kyunki bs kuchh Lafzon ka beech Humare ek Beyhadh paak sa Rishta tha. Written by Aliya Siddiqui_ ©Aliya Siddiqui #RishtaKuchhLafzonKa Aliyafromheart. Ghazal💞🌹💞 Furkan Kharodiya Khalid Abbas khalid Waqar 💌 Danyal Khan