Nojoto: Largest Storytelling Platform

Sachi Dosti Andhere ki khamoshi mai aaftab ki rosh

Sachi Dosti
Andhere ki khamoshi mai aaftab ki roshni
aur gam bhari jindigi mai khushi ki noor late hai yeh dost
Nirashi ki aasuyon ko bhi moti ki tarah sambhal lete hai yeh dost.
Jindigi ki musibaton mai log kab ka bikhar gaye hote,
Yeh sache dost na hote toh log kab ka khudgarz ban chuke hote.
Makhfi hui khazane ko toh phir bhi dhund lenge ham,
Lekin ek baar khoyi hui habib se dobara shayad hi mil paye ham.
Mazhab, jaat yah jubban ka ikhtilaf nahi hota hai yahan,
Bas Khuda ki es anmol innayat ko salam kare pura jahan.
Sache dosti ki ikhtiyar ko kese samjhe ham;
Aaj tak....sache dost nahi pehchan paye ham.
Es qurbat ko pyar se sambhaliyega,
Es bandhan ko ikhlas se nibhayiyega.
Ab hame toh bas sache dosti ki justajoo hai,
Ab hame toh bas ek moutjza ki justajoo hai.
Bas kuch Khushnasibon ko hasil hote hai yeh sache dost,

-SayanikaDas. Aaftab - sun
Noor- radiance, light
khudgarz - selfish 
Makhfi- hidden
Habib- true friend 
Mazhab- religion 
Jaat- caste
jubaan- language(here)