saher ki khamoshio ne logo ko shaant, aur mujhe sayar bana diya hai.. sari dunia simat gayi apne gharo mein aur maine ashiyane mein dunia basa liya hai.. dur dur tak yaha koi kisi ko nahi sun sakta aur mere kuch sabdo ko apni jubaan bana gya hai.. kuch kaam nahi hai karne ko aaj aur isliye maine ye kalam hi utha liya hai... kal tak waqt nahi tha jinke pass aur aaj hume apni hi mahfil ka gayak bana liya hai.. kal tak meri har baatein unsunni karte the aur aaj har sabdo ka matlab samjha gya hai.. saher ki khamoshio ne logo ko shant, aur mujhe sayar bana diya hai... #saher_ki_khamoshi