Modern hone ka ya, zindagi mein aage badhne ya aaj ke time ke hisaab se khud ko dhaalne ka mtlb yeh toh hargiz nahi tha ki aap behaya ho jaaye, maana ab century change ho gayi aur aapko modern hona hai, technology ke hisaab se badhna hai, par iska mtlb yeh hargiz nahi apne culture, tradition ko bhool jaaya jaaye, Modern hona ya century ke hisaab se aage badhne ka matlab tha ki aap ko jin jabardasti ke bediyoon mein baandh kar aapko takleef di jaati thi, usse azaadi, apne haq ke liye ladne ki azaadi, apne education, carrer ki azaadi, behaayi ki nahi. Agar behayya hona modern hona hai toh laanat hai aise modern hone par. 29/10/24 ⏰8:02 p. m. (U. K.) ✍️ ©Ubaida khatoon Siddiqui #Ubaidakhatoon #ubaidawrites #Thoughts #modern