प्रकृति की गोद में prakruti hai ek jaadugari Lakho rango ki hai karigari Phoolon ki khushboo ki meethas Jharno ka paani aisa bujhade jo pyaas Prakruti ki god ka bada khaas hai raaz pahado ka nazara aisa jispe har dil ko ho Naaz Kahi ayurved ka khazana Kahi dikhe bita hua zamana Kahi hai fhalo ka bagan Kahi hai ghane pedo ka jahan Janwaro ka gurana,chidiyon ki chechahahat Jaha jab Thandi hawa chale toh mile sabhi ko rahat Jaha gadiyon ki awaj nahi behte nadi ki hai aahat Prakruti ko agar apna le dil se toh lag jaye har achi aadat Prakruti woh maa hai jiska sparsh bada Nirala hai Prakruti hai isliye duniya mein Ujala hai ©Captain Nikaxologist Prakruti ka Jaadu #prakrutisesikho