Jo tere sang hai jeena To tere saare dukho ko peena Tere sang hai is dil ko rehna Lekin darta hai agar tu kehde na Raaton mein tere bare mein socha Har jagah tujhe hi khoja Khvabon mein tu aaye Mujhe raat mein teri yaadein sataye Lekin Kash ye bata sakta tujh se To ye dil ka bojh utar gaya hota kab se Kash main tujhe ye bata deta Mere dil ka haal samjha pata Kash is samaaj ke baare mein na sochta Meri baat tujhe batane ka koi raasta khojta Agar meri baat tujh tak kisi tarah samay par pohonch paati To aaj shayad aaj tu meri ho jaati #joteresanghaijeena