Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aaj ho gaya hain yakeen mujhe , ki shayad kuch toh

Aaj ho gaya hain yakeen mujhe ,
ki shayad kuch toh baat hain mujhme,
yuhi bewajah toh zindagi me imtehaan nahi le rahi,
shayad abhi kuch bacha hain mujhme, jisse azmana hain
shayad abhi bhi kuch hain mere andar jo bejodd hain,
issliye toh waqt aur halaat usse todne par lage hain,
lagta hain jaise meri koshisho mein kuch toh damm hain,
varna kyun mujhe harana qainaat ke liye chunauti hain?
varna kyun aaj tak mera vajood tikaa hua hain,
varna kyun mein baar baar khatm hokar bhi
 vaapas se khud ko jodd raha hu?
Aaj mujhe apne hone par guroor hain, 
kyunki jiss dinn mein inn chunautiyo par fateh karunga,
uss dinn jo sukoon milega vahi mera inaam hain!