Aaj rehne do mujhko thoda meri tanhai ke saath, apni umeedein aur shikayato ko thela kal laana aaj mein thoda kamzor hu, thoda thaka hua bhi, shayad tumhare bojh ko uthana mushqil hain, aaj rehne do mujhko thoda apne saath hi, kyunki tumhare iss zamane ko sirf matlab hain mein kya kar sakta hu, kya de sakta hu, lekin aaj sauda sab ke liye bandh hain, apne dard ko, apni chaut ko, malham mein khud hi laga lunga, aur haa tumhare liye mera farz kam nahi hoga, lekin kabhi kuch mujhe apne liye bhi rehne do, itna bhi mat kharch karo ke mein khatam hi ho jau, lekin kabhi toh hakeem bhi banta hain mareez, apni umeedein aur shikayato ka thela kal laana...... toh aaj ke liye saare mudde hue hain kharij......