Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hazrat Abul Hasanaat Maulana Sayyed Abdullāh Shaah

Hazrat Abul Hasanaat Maulana Sayyed Abdullāh Shaah Naqshbandi Qaadri rahmatullāhi alaihi :

Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Log khwaab me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam deedaar karne ke mushtaaq rehte hain jab ke Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki mukammal ita’at [farmaan bardaari] wa itteba [pairwi] karna yeh bhi jaagte me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqaat ke barabar hai.

(2) Murshid baatini uloom ka darwaaza hai aur Peer se Bai'at karna yeh asl me ALLĀH ta’ala ki ita’at aur taabedaari hai.

(3) Sab se aham ibaadat Tauba karna hai. Us ke baghair aamaal me chamak nahi aati. Tauba wa astaghfaar saabun ki tarah hai aur deegar ibaadaat aur awraad o wazaaif itr ki tarah hai. Koi shakhs saabun se nahaaye nahi aur sirf itr laga le to bekaar hai.

(4) Halaal tareeqe se kamaaya hua ek daana haraam tareeqe se haasil kiya hue bahot saare maal se behtar hai. Saalik ko mashkook cheezo se bhi bachna chaahiye.

(5) Koi shakhs apne pariwaar ka khayaal rakhta hai, unke liye rizq ka intazaam karta hai aur unki achhi ta’aleem wa tarbiyat karta hai to Jihaad me jaane se behtar hai.

©Feroz Urf Aatif
  #auliya_allah