Ye dil us musaafir ki tarah registaan mein hai kahin, Jisko pyaas lagi hai na jaane kabse, Isko aas bhi hai, talaash bhi - aitbaar bhi hai, sabar bhi, Ki bujhegi iski pyaas ab jald hi! Fir door kahin roshni mein wo chamakta hai, jiski isko talaash thi, Nazdeeq aaya toh mirage nikla, do pal mein udd gayi chehre ki tamaam khushi! Aisa kayi baar hua, har baar wo niraash hua! Aakhir kitna lamba ho sakta hai ye registaan, ek waqt toh aega jab mirage sachhai mein badal jaega, Talaash bhi puri hogi aur ye pyaas bhi bujhegi, aakhir kab tak ye registaan mujhe sataega? - aage badh gaya wo ye soch kar! #urdupoetry#nojotohindi#poetry