Karte hai muze mashgul, mera intisaab dekh ke, Jinhe hoti hai taklif, muze kamayaab dekh ke Pahle mai sirf gham hone par peeta tha, Ab dard hota sine me, muze sharaab dekh ke Liya faisla aapne qayamat ka hisaab dekh ke, Ki hai haan muze khanuma kharaab dekh ke, Kal tak Ghulam ke zindagi me aman tha, Maukaparast ka khoon khaula, inqalaab dekh ke Aaj to peene ki koi wajah hi nahi thi, Peeli hamne yoon hi, ham sharaab dekh ke, Ruhaan tu kisike kaam ki ehtram karna, Zukate hai sir Khushamad, khitaab dekh ke. Mashgul- Distract Intisaab- Dedication Qayamat- Day of Judgement Khanuma Kharab- Heart Broken Maukaparast- Opportunist Inqalab- Revolution Ham sharaab- Fellow drinkers Ehtram Karna- To respect Khushamad- sycophants Khitaab - Position, Designation #shayari