Qadrdaani-e-mehbooba Tere nigahon me doob ke na dekhe to kya dekhe ? Kajal lage un palko ko na dekhe to kya dekhe ? Honge kai haseen iss zamane me magar , Wo mahtaab si surat na dekhe to kya dekhe ? Wo shamsheer nigahen , wo lahrati zulfe teri , Wo gulabi hotho ke tabassum na dekhe to kya dekhe ? Mere saanso me tu , mere khwabo me tu , Dar-e-dargah me tumko na dekhe to kya dekhe ? Tere sadaaon ka dewana main fanna ho jau , Kashmakash tere labo ki na dekhe to kya dekhe ? Wo aayna nahi jo tera aksh na dekhe , Nazre mere mehbooba ko na dekhe to kya dekhe ? #The ghazal of RAG #Qadrdaani-e-mehbooba #yqdidi #yqbaba #yqhindipoetry #yqghazals #quotereview Collab open