#OpenPoetry Waqt Ko bhi waqt se waqt mangna pada tha , Mera khwab mere saamne kisi gair ke sang khada tha, Phir waqt Ko bhi waqt se waqt mangna pada tha.... Kiya barbaad khud Ko iss tarah , Ki kuch bhi acha Kiya nahi, Khushiyan har pal saath thi , Par khushiyon Ko main phir Jiya nahi, Aur gamo Ko saath mujhe , Khudko taulna pada tha, Phir waqt Ko waqt se waqt mangna pada tha.... Khwab Mera tu hi tha na , Tujhko bhi khabar thi SAB, Ho gya jo 2-3 din faasla toh , Haan , tujhme tha kaha Sabar bhi tab, Meri zindagi Ko phir gair ke sang chalna pada tha, Phir waqt Ko waqt se waqt mangna pada tha..... Khushiyon ki Cadbury Ko le Gye woh chhen kar , Karta Raha main ikhatte wrapper been been kar, Yun iss qadar huyi thi bojhil iradat meri khud se tab, Lag Raha tha patthar mujhko woh khuda phir iss Zameen par, Baakiyo Ko karke door , Akela chalna pada tha , Phir waqt Ko waqt se waqt mangna pada tha.... Ho rahe the SAB ujaale door tab, Ho Raha tha main bhi Nashe me chaknachoor tab, Hosh mujhe bhi tha nahi , Hosh mujhe tha nahi ki kar Raha hu main Bhala kya?, Ro ro ke hass padna , yahi to yaaro bas bacha tha, Khud Ko khud se door main Kyun iss aise kar Raha tha? wo saare questions the aise ki answer nhi na mil Raha tha, Dil Mera dimag se har kadam pe Ladd Raha tha, Shareer Aatma se ab guzaarishein bhi kar Raha tha, Depression plus jaane kya kya ho gya tha , Tab MAA ka meri saath mujhko Mila tha , air haath jab wo meri duaa ke liye utha tha, Phir waqt Ko bhi waqt se waqt mangna pada tha...phir waqt Ko bhi waqt se waqt mangna pada tha.... ✍️ Kaustav Singh