Keemat tumhari . Jab tumhari tanhayi ne aaj mujhko aakar ghera , Tou mujhe Keemat pata chali tumhari . Aaj , jab bazar mai , mai logo se rukhsat ho rahi thi , Tab mujhe Keemat pata chali tumhari . Ek din jab mai khud ka wajood bhula kar ,tumko khoj Rahi thi , Janaab tab mujhe Keemat pata chali tumhari. Aaj jab mai ghabrayi , tou mujhe tumhara ehsaas hua . Aaj jab apne aanchal se apne ashq ko hata rahi thi , Tab mujhe tumhara khayal aya . Kyu pehle nahi mai Jaan payi thi Keemat tumhari ? Kyu pehle hi faisala kar liya tha maine tumhara? Kyu mai itni khudgarj thi , Jo Maine ek mauqa tak bhi nahi diya tumhe ! Aaj jab Raat Mai neend nahi aati hai, Tou keemat pata chalti hai tumhari. Naarazgi ne banaya khudgarj mujhe . Khoyi hui saari ummedo ne bana dala mayoos mujhe . Ab kabhi tumse rukhsat nahi ho paungi mai , Jana pad raha hai aaj mujhe . Na jane kal mai rahu ya na rahu , Isiliye aaj ek ziqr karna hai mujhe , Ye ziqr se bada khulasa hai , Kyuki aaj alvida kehne ka man kar raha hai mujhe .