Ye hansi vaadiyaan ye khula Aasmaan Lehrati shakhayein mano koi dhun baja rahi ho Aur uspar thirakte baarish k ye boondein Apni khushi bayaan karte ye pakshi Puch rhe ek hi sawal, aakhir ye vatan kaunsa hai? Pehchan m nhi aata iska mizaz kuch badla sa hai... Mano in titliyon ne pehli dafa udna sikha ho Mano ye phul pehli dafa khil khi lae ho Sab puch rhe ek hi sawal, kya chale gae is jahaan se woh insaan? Kitni ajib baat hai na, hum gharo m kaid kya hue Mano prakriti ko jeevan daan mil gaya ho Jispe hum apna raaj samajhte the Aaj whi duniya humare kaid se azaad hogyi ho.... Sochne wali baat hai, aakhir ye vatan kiska hai? Mera hai, tumhara hai, hum sabka hai ya bas hamari zarurato ka mohtaj hai?? #Ye vatan kaunsa hai??