INTRODUCTION Mai ,Nishant Rajkumar Sobti, 22 saal ka ladka hu. Mere Life ke sabse zyaada important Log mere mumma papa aur mere friends hai.....Haa vo alag baat hai ki mai apne parents ko 1st priority manta hu.... zahir si baat hai koi bhi aadmi apne gharvaalo ko baakion se zyaada importance deta hai ,i mean how stupid of me.Bachpan se mujhe bohot laad dulaar se paala gaya tha ,uska ek plus point yeh bhi tha ki mai Zara bhi sharaarat nhi karta tha dusre bacchon ke mukaable me,vo alag baat hai ki mere khaanepeene ke bohot naatak hote the jaise ki mujhe jab kuch khilaana hota tha to mujhe mixer grinder me acche se mash karke mumma mujhe khilaya karti thi...mai unhe apne peeche peeche daudata tha just because mujhe nhi khaana hota tha par fir bhi mujhe mumma kaise bhi forcefully khilati thi. Jahan jaana hota tha vahan ek Pressure Cooker leke sath me chalti thi,Unka manna tha ki ghar ka khana hi sehat k liye accha hota hai ....mujhe koi bimaari na ho isliye jahan kahin bhi ho hum ,mere liye hamesha alag se khaana banta tha .Mujhe kuch bhi ho jaata tha (Bimaar)toh mumma papa bohot pareshaan ho jaate the.....Iss baat se mujhe ek baat yaad aayi ....Ek baar hum Mahableshwar ghumne gaye the to kuch kuch jagah aisi thi jahan mujhe logon ne baar baar apni godh me le rahe the ,mai cute jo itna dikhta tha...aur vahan itni Thandd thi ki humare hotel vapas pohochte hi mai bimaar padd gaya,Mujhe 104 degrees ka bukhaar chadh gaya tha aur aadhi raat me koi doctor bhi available nhi tha .Mai Thandd se kaapta rote rote behosh hua.Mujhe aisi haalat me dekh ke mom dad se raha nhi jaa rha tha aur vahan bahar zor se bearish ho rahi thi ....Hum jiss Hotel me reh rahe the vahan se mujhe leke nikle aur Mumbai vapas pohoch ke mujhe turrant doctor k pass leke gaye Dr.Shah jo uss samay hamare family doctor the,mai aaj bhi sochta hu ki uss samay mumma papa ne manage kaise kiya hoga sab?