Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry पिता Apne sapno ko door kahi pee

#OpenPoetry       पिता
Apne sapno ko door kahi peeche chod kar, 
Halaato aur majbooriyo ko samajh kar, 
Doosre jo chahe, wo karr apne pairo pe khada wo hota hai, 
Mujhe shauk nahi inn cheezo ka, ye jhoot wo har baar dohraata hai, 
Apne bacho ke har sapne poore karne ka hosla unhe wo dilata hai,
Mere paas waqt nahi ghoomne ka tum ghoom aao wo har baar keh jaata hai, 
Apni zimmedariyon aur majbooriyo ka jhoot wo phir dohraa Jata hai, 
Aur phir har raat apne sapno ka gala wo dabbata hai, 
Par aaj bhi kabhi wo apne unn sapno ki chaah ko akele baithe
 har raat piroya karta hai, 
Bacho aur ghar parivaar ki chinta usey kaha sukoon ki neend aane deti hai, 
Poora din khud kuch na khaaye par, ghar ki rozi-roti ke liye
 har din paise wo ghar laata hai, 
Paise na ho jeb mai, 
phir bhi wo kabhi bacho ki maango ko na jhuklaata hai, 
Khud jaagta hai din raat, apni khwaisho ko Maar kar, 
jhooti tasalli aur dilaase wo khud ko dilaata hai, 
Har pareshaaniyaaan akele paar kar jaata hai, 
Fikr rehti hai sabki par chehre pe na aane deta hai, 
Zimmedariyon ka bojh sambhalte sambhalte wo door kahi
 duniya ki iss bheed mai akela reh jaata hai, 
Inn sab ke beech wo apni zindagi kaha khushi se 
bita paata hai.
-Arshma Khokar🥀 #OpenPoetry #father #nojotopoem