eid e qamar ko dekhne ki khwahish mein kayi ramadan beet gaye . kabhi wo bewaqt aati thi to kabhi hum waqt se peeche reh gaye.. mahine ki shuru se he wo khud ko khone lagti thi... aur hum bewakuf uske liye iftar mein khuda se rehmat mangna vul gaye.. ramadan ki aakhri raat mein uska wo chehra, dekhne mein aadhi hoti thi, par noor-e- tajalli se mukammal hua karti thi.. ishi liye shyad hum khaane ke shaukheen roozein ke dewaane ho gaye... ramdaan khatam hone ko ayi hai humaare milne ki raat aane ko aayi hai.. par taqleef hai sirf itna ki wo aasman pe utarti hai aur hum zameen pe hi reh gaye.... ishi tarah eid e qamar ko dekhne khwahish mein kayi ramadan beet gaye...