Aam se khatam ho subha aur shaam Dil ko do sharbat ki thandak aur shareer ko araam Neem ki chav lage meethi Rajai ki garamahat lage thiki Garmi ki mausamo mein toh chai bhi ho jaye phiki Pani ki baushar lassi se ho jaye pyaar Badi tarbujo ki lag jaye bahar Garmi bada tadpati hai par kai yaade lati hai Zindagi ko apna mahatva samajhati hai Kahi hai kulfi kahi baraf ka gola tapti suraj mein har koi lage bhola Is garmi mein thandi hawao ne har dil hai dola Har mausam khass hai bahut dil ke pass hai, Garmiyo ke bina barsat matlab bas bakwas hai Garmiya bas mausam nahi ek ehsaas hai Kahi yo ke liye bachpan toh kahi ke liye jeevan ka raaz hai Isliye garmiyo par mujhe naaz hai ©Captain Nikaxologist Garmiya #Summers