#OpenPoetry तुम मुझे जानते हो? Meri khamoshi ko meri lachari samjh lete Ho. Meri muskurahat ko khushi samjh lete Ho. Har Kahi Suni uss baat ko tum sach maante Ho.. Aur Tum kehte ho tum Mujhe jaante ho. Haan tum jaante ho bass kinara uss samandar Ka. Jiski lehere tumhare kadmo ko gudguda jati hai. Haan Ret k kile banate hue uss Khushi ko bhi jaante ho Tum. Bass uss gherai ko nahi jaante jaha roshni Nahi jati. Suraj ki kirne jaha Khushiya nahI Laati.. Nahi jaante Tum uss darr Ko jo dub Jaane ka lagta hai. Uss Wapas na aane k ehsaas ko.. Phir bhi Tum Apne Sapno k pul Sabse Upar bandhte Ho.. Aur Tum kehte ho Tum mujhe Jante Ho.. Mujhe jaana mushkil Nahi Bekar zarur hai Dil main mere khushi nahi Magar.. Hotho Par begairat muskaan zarur hai.. Yahi Toh tumhe Bewkuf banati hai.. Meri khamoshi ki awaz Chupati hai.. Meri lachari Ka yahi Toh Mazak banati hai.. Aur uss muskurahat ko tum meri khubsurti Ka hissa maante Ho.. Aur Tum kehte ho Tum Mujhe jaante ho?... #OpenPoetry