chalis saal ka naata kese tode tujhse? gujre huye un saalo ko kese vule? us muhabbat ko kese thukraye? dard seene mai lekar in aankhon ko kese murjhaye rab kyun na samjh paya us muhabbat ko? ek tu hi toh tha mere paas khone ko baaki toh sab gujar gaye saalo saal. ab baas tu nishan pe, aur mai ghayal. ye hath hone ka baad bhi aaj apahiz kese ho gaya? tere sath chorne ka khyal itne darawane q ho gaya? bas kuch din jee bhar k mai tujhe dekhna chahta hu ye nayan tujhe mai saupna chahta hu bidaai jo aaj hone ko aaya hai tujhse yaadein kese mitau ye dard baant k bhi kise rulau? tu na ro sakta hai na bol sakta hai par tere dard mujhe mehsus kyun hota hai tere kalai suni reh jayegi tere aangan mai nachne ke liye koi doobara na aayegi ye anarth kese hone du mai raato raat tujhe kese bhula du mai? raaato Raat tujhe kese bhuladu mai