Kyun Ye duniya har baar hi kuch Esa insaaf karti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Vo jaanvar kisi ki jaan cheen kar Bhi sir uthaaye ghumte hain Esi bhi kya sarkaar hai Jo jaanvaron ka sir kalam karne se darti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Kuch mombattiyan jalakar Kuch din dukh manakar log bhul jaaten hain Or kehte hain ki us masoom ki khatir Dil mein hmaare humdardi hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Kyun kisi ka khauf nahi hai Un insaan ki shakal ke bhediyon ko Kyun har baar ek masoom hi Apni izzat or saanson ke liye ladti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Kyun mazhab or jaati ke naam par Har baar kanoon toot-tey hai Or un dehshatgardon ko saza ke liye Vhi janta kanoon todney se darti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Hum to aankhon par patti bandhe baithe hain janaab Humey kya maloom us nanhi si jaan par Kyaa guzarti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai #nojoto #justiceforasifa Kyun Ye duniya har baar hi kuch Esa insaaf karti hai Haivaaniyat ko fakr hota hai khud par Or ek masoom ke sath Har baar insaaniyat marti hai Vo jaanvar kisi ki jaan cheen kar