"Wo" hai to hum hai.. Unse hi hai hamara wajood Wo dil hai wohi jaan hai, Wo Shaan hai, wohi to abhimaan hai hindustan ki unke wajah se hi to Chain se so pate hai budhe bachhe, Har koe insaan hindustan ki.. Chahe wo 60 degree ki chilchilati dhoop ho ya - 100 degree ki Jami si barf chahe wo ghanghor andhera ho ya suraj ki behisaab roshni Wo jaga rehta wo khada rehta hai haatho me Thame bandook Har ghadi Har paher.. Ghr se pariwaar se, dost se yaar se, Har kisi se rehta hai wo door Taki hum reh sake apne ghar pariwaar ke sath mahfooz...China ho ya Pakistan usne sab ko haraya hai in makkar dushmano se Hume hmesha bachaya hai.. Lekin kya kre saheb dushmano se to ye firvi lad lenge aur jeet lenge, lekin desh ke un gadaaro ka kya jo kehte hai tum Kitne afzal maroge ab Har ghar afzal niklega, to suno! tumne ek afzal Nikala tha uska anzaam v tumne dekha hai,wo to bas trailer tha abki puri picture tum dekhoge. abki gar sochi v tumne aye bujdilo to tum naam kaum mazhab tak Bhul jaoge,Saza Yun hogi, ruhh kaanp Jayegi tumhari tum pathhar fekna to dur ab Utha v naa paoge.. Chalo na ek kaam krte hai hum dil se inka samman krte hai qki gar ye naa Hote to na Mai ye poem likh rha hota na hi aap chain se ise pdh rhe Hote. Chand panktiyaa desh ke jawano ke naam ✍️✍️