Jaana yun to wo ek anjaan chehra tha jise kisi ne nahi dekha tha maine bhi nahi. jo meri har kavitaon me moujood thi magar phir bhi mai uski aankhon tak ki kalpana nahi kar paa rha tha wo jo bhi hai khubsurat to bahut hi hai ye yakeen tha qki jiske naam matra se meri kavitaon ki shobha badh jati hai. yakeenan wo to behadh khubsurat hogi fir ek roj mujhe wo mili behdh hi khubsurat maano us khuda ne ek arse ki mohlat le use banaya ho jisme koi bhi kami ho hi nahi skti uski aankhe maano kai maikhano ho inhi me jo koi ek baar inhe dekh le taumra bas tera hi nasha rhe uspar uski hoth to jaise khud jindagi ki muskaan kaid ho inme gar ye muskuraye jo jindagi bhi chehak uthti hai aur kya kya likhun jaana mai tumhare liye us khuda ne to tumhe beja hi hai har shayari ka chehra banakar jaana kya likhun mai tuumhare liye kitna bhi likh du tumhare bare par wo bas nahi jaana ktum kisi mahaan shayar ki sabse khubsurat shayar ki jawab si ho aur kya likhun jaana mai tumhare liye bas itna kahna chahta hun ki tum hanso to jaana jeene ki wajah meri ban jati ho gar rutho to lagta meri saja-e-mout ban jati ho... jaana