'Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye Mousam e gul mere angan main theher jaae ga Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga'.