Nadaan zara is baat se darr Karle thodi marne ki fikar Padh pothi tu apne karmo ki Aur gaur zara is baat pe kar Tu aaya tha is duniyaa me rokar Bhala kaun roega tere marne par Saath nahi deta yaha koi Apno pe bhi ye duniya naa roi Pal bhar ka mehmaan hai is duniya ka tu Naa roe koi tere jaane par to kis kaam ka tu Kuch kar bada is baat ko soch kar Bhala kaun roega tere marne par Musaafir hai is jahaan me Manzil teri koi aur hai Pal do pal reh kar is duniya me Jaana tujhe kahi aur hai Tu baan mahan, ye rakh dhyaan, naa aaega tu laut kar Bhala kaun roega tere marne par Mitti ka bana insaan hai Tujhme bhi basa bhagwaan hai Iss duniya se kya paega Tu phir mitti me jaega Jaa tu apni yaado ko chod kar Bhala kaun roega tere marne par Jab jaega tu laut kar Apni parchaai chod kar Jo jiya hai tu bas naam ka To tera jeena kis kaam ka Har karm pe tere yaad kar Bhala kaun roega tere marne par