#OpenPoetry Jao Chhod diya tumhe ab tumhare haal pe Kya khoya kya paya Is swaal pe Lana nahi kbhi apne muje tum khyaal mey Khud piche kar lena Jo aye chehre pr lath baal ke Ab chal hi liya hai jab Apni chaal se Abhi aadat chhuti hai meri to zara sambhal ke Illam hua muje bhi ki Tum na ho mujh bin behal se Isliye hamne bhi kuch na kaha Per piche kr liye bina kisi bawal ke Yaaro ke bhi mujhpar uthe swaal they To baate badal di tumhara zikar taal ke Rang badle mahine badle Badle din saal ke Nahi badla to vo hum they Jee rahe they aj bhi is haal mein Ha sach hai ki Nahi bhul sake vo Sparsh tumhare gaal ke Sach hai ki Nahi bhule vo libaaz Jo mujhse milne ke liye Aye they tum dal ke Mujhe khud sa bna diya tumne Apne rang mein dhaal ke Lagta hai jaise aaj bhi fase hai Tumhare reshmi se jaal mey Vo sapne bhi tumne dikhye they kya kmaal ke Kya khoya kya paya Sath khud ke hume bhi chhod gaye isi swaal pe care is love❤️ #feelingsofmyheart🖤 #bestpoetry #lovepoetry