आंधी Ek aandhi aayi aur ghata si chha gyi, Jab ek beti n apni maa se kaha ye meri zindagi hai aap kahan se aa gyi, Main apne faisley khud karungi aap hoti kon hain mere faisley lene wali, Maa ye sun k roney lagi aur zalzala bhi aa gya, Kuch smbhl k boli beta aaj tu mjhpe yahi zubaan chalati hai, Mjhe zaleel krke bada khush ho jaati hai, Ek wo din tha jb main teri baat main bin boley smjhti thi, Aur aaj tu iss duniya k liye mjhi p zuban k teer chalati hai, Dekhtey hain faisley tere tujhe kahan leke jaatey hain, Magar bacche jb chot khatey laut k maa k pass hi jaatey hain, Agar tere bacche iss tarah hi tujhpe zuban chalayein to afsos naa krna, Bacche to wahi krte hain jaise unke maa baap apne maa baap k sath pesh aatey hain...