begāna ho ke bazm-e-jahāñ dekhtā huuñ maiñ duniyā ke rañg-o-bū kā samāñ dekhtā huuñ meñ raushan-zamīr jaise koī sarf-e-dīd ho.e yuuñ jalva-hā-e-kaun-o-makāñ dekhtā huuñ meñ arzāñ hai zulm-o-jaur kī uftādgī magar jins-o-vafā-o-mehr-e-garāñ dekhtā huuñ maiñ ik samt jashn-e-shādī-o-hañgāma-e-nishāt ik samt hashr āh-o-fuġhāñ dekhtā huuñ maiñ sharh-e-alam darāz hai al-qissa ai 'shakīl' ik daaġh apne dil meñ nihāñ dekhtā huuñ maiñ