NARAAZGI Abhi kuch tang hu main zindagi se . Kuch rishto se aur kuch chehro se . Ruk si gayi hai kalam ab panno pe , Larh raha hu kuch hamshakalo se . Khusiya mere samandar ke paani sa hai , Baar-baar laut jaati hai wo kinaaro se . Ye bikhre , toote , gande , purane rishtey , Kyu nikal nahi jaate mere zindagi se ? Maatam hai mere jashn-e-zindagi me , Badbu aane lagi hai zinda laasho se. Kuch yu ban gayi hai ab zindagi meri ki , Saanse bhi izaazat maangti hai hawao se . #The ghazal of RAG #NARAAZGI #yqbaba #yqdidi #yqquotes #yqhindi #yqghazal Collab open