Zamane me har jagah Shor hi Shor hai kisi k duniya me aane ka shor, kisi k duniya se jaane ka shor, kahin chidiyon ki chehchehahat ka shor, to kahin hawan k sarsarahat ka shor kahin shehnaiyon ka shor, to kahi judaiyon ka shor, jo khamosh hain unke k ander ka shor to kisi k bahar ka shor hai jab jakar baithi ekant me main to mehsus kiya sanson ka shor gaur karein gar ham, to payein yahan to tinke tinke me hai shor