Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ghazal Fa-ilun fa-ilun fa-ilun fa-ilun Sard Mausa

Ghazal
Fa-ilun fa-ilun fa-ilun fa-ilun

Sard Mausam mein jab barishein hogayin,
Unki yaadon ki phir saazishein hogayin

Ishq se duur  hum bhi kabhi na rahe,
Har baras kuchh nai kavishein hogayin 
(kaavish: effort, endeavour,)

Maa ke aanchal mein aake sukoo.n milgaya,
Zeest mein jab kabhi wahshatein hogayin
(Zeest: zindagi, life)

Ek naqshe pe rekhaayein kheenchin gayin,
Mulk baanta gaya, sar-hadein hogayien 

Tez karta raha dhar khanjar ki woh,
Aur .....maqtool ko zahmatein hogayien
(Zahmat: inconvenience)

Jinko tohfe mein humne diye aayeenein,
Be waja, unse bhi ranjishein hogayin
 (Ranjish: takraar, dushmani)

Usne chhora hai jab se mere sath ko,
Gird apne bhi kuchh mahvishein hogayin 
(Mahvish: Haseen, mahboob)

Jab se bedaar dekhaa hai Kausar tujhe,
Doston ke liye uljhanein hogayin
(C) Kausar Raza 
Disclaimer: Jashne rekhtaa ka is zameen per ek video dekha tha ..... Usi behar mein khaaksaar ki koshish

©Kausar Raza
  #Ghazaliat