khamoshi ki chadar me lipti khud se ladti rahti hu chup chup rahkar khud se hi yudh bhayankar karti hu kya galat h kya sahi man me chalta dwand hai khamoshi ki khata ka honsa kaisa ant hai har din hun main sochti har pal ko bas kosti chup rahne ki khata aakhir kyu maine ki kyu dar itna samaya h kyu man fir ghabraya h apni har chahat ko maine aakhir kyu dabaya h daba do aawaz meri rond do mere gunjan ko na bol saku kuch bhi fir saja mujhe aisi do ©Alka Dua #saza_ki_haqdaar_hun_main