Itne waqt ke intezaar ke baad aaj woh lamha aaya hai jab iss dil ne jubaan se kuch khoobsurat sa afsaana bayaan kiya hai Ab sach mai uski doori se darr lagne lagaa hai, Khwabon mai uska aana ek khoobsurat si subah ka wajah ban gaya hai, Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone lagaa hai. Usi se baat karne ke liye dil sirf tareeke dhoondta hai, Zindagi ke bade faislon mai uski baaton ka wajan badhne laga hai, Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai. Hamaari mulaakaton ka safar kuch kam hi raha hai, Kyunki sapnon ke tootne ka darr zyaada raha hai Usse zaahir karne ka tareeka hi nhn dhoonda hai kyunki ek sacche dost ko khone ka khauf laga raha hai Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai. Woh dost se zyaada humdard ban gaya hai Par yeh bayaan karna bhi mushkil ho gaya hai Shayad iss dil ko kisi se pyaar hone laga hai Lekin ab sahi waqt ka intezaar nahin karna hai Unkahe sawaalon se khud ko pareshaan nahin karna hai Aur keh dena hai ussey ki yeh shayad nhn haqeeqat hai ki iss dil ko usi se pyaar hone laga hai.