Nojoto: Largest Storytelling Platform

Roya mein itna ki ek shayad ek samandar bann jayei

Roya mein itna ki ek shayad ek samandar bann jayein,
khoya tha mein itna ki jaise beeta hua koi lamha ho,
bikhra hu mein itna ki jaise koi ret ka mahal ho,
lekin shayad ab aur jyada mein seh na paau,
shayad dard ko ab apne shabdo mein keh na paau,
kyunki itna shor hain mere andar ki kuch sunn na paau,
aur shayad iss waqt mein sirf koi dhundhli yaad hi bann jau,
kyunki lagta hain ab mujhe aisa ki mera hona hi mera qusoor hain,
ki jaha bhi jau, vaha sirf shikast aur dard nasoor hain,
iss baar toh kuch aisa uljha hu mein ki jaise naa mein hona chahta hoon, aur naa hi unn andheri galiyo mein khona chahta hoon!
shayad ek dinn meri kalam bhi thakk jayegi mere dard ko bayan karte karte,
uss dinn mein pata nahi kaha rahunga, shayad koi beeti hui baat banke!