Bohat arse k bad koi khayãl aya hy ik lajawab sa mujhe sawãl aya hy kya ishq muhabbat tujhe pane k naam hen? is jurm per bhi dekhiye zawãl aya hy ik shab firaq mein kati to uspe ye guzri maqtal se wo junoon mein nidhãl aya hy shãm chaye per use khabr di men ne dil se us bewafa ko tu nikãl aya hy us k is ilm ko yaqeen men ne dia is bar usko rona pur malãl aya hy hijr ki wehshat mitane mashriq se maghrib gaya nikla junoob ki taraf tha aur shumãl aya hy jo khushgawar the gaye wo sogwar laute hen tere firãq ka samar us per kamãl aya hy HJ #misl-e-khayal #hjpoetry #hamzajunaidy #hamzajunaidypoetry #hjkhayal