ye hausla tujhe mahtāb-e-jāñ huā kaise ki ḳhud ko saa.e se minhā kiyā batā kaise nazar to kyā ki ye mīnā-e-dil bhī ḳhālī hai lagegā shahr meñ bāzār-e-ḳhūñ-bahā kaise mujhe ḳhabar hai ki mausam nahīñ ye ḳhvāhish kā mire laboñ pe ye Thahrā hai zā.iqa kaise ḳhudā.ī nauha-kunāñ thī ki aaj mimbar pe ye tujh ko aayā nazar kyā mire sivā kaise ta.alluqāt ke tāvīz bhī gale meñ nahīñ malāl dekhne aayā hai rāsta kaise qafas meñ merī panāhoñ ko dekh hairāñ thā ki mere dil meñ thā maqtal kā zā.icha kaise havā se jaise charāġhoñ kī lau bhaḌaktī hai bahut dinoñ meñ tujhe dekh ke hañsā kaise