Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ek umra guzaar rahi thi me uske intezaar mein, Ek

Ek umra guzaar rahi thi me uske intezaar mein,
Ek aas thi ki kabhi na kabhi hum dobara jarur milenge,
Kabhi na kabhi woh padega mere likhe sabdh jo mene use bheje the,
Ek aas thi hamesa se ki hum dobara jarur milenge , 
Dekho aaj woh aas bhi tutti Nazar aa rhi jab use aage badta dekh ,
Mere hridaya ka ek ansh bhari ho gya ,
Keh bhi na saki kuch usko ,
Mera mann iss kadar vichlit ho gya,
Ab kya haq bacha Mera usper jo rok leti me usko ,
Kaise keh du khush hu me uski khusi me , 
Mujhse kon puchega tum askh bhana chati ho toh bha lo main hu tumhe apna kandha Dene liye liye ,
Kon shant krega mere Mann me chal rhe ufaan ko,
Kaas hum mile hi na hote toh ye dard bhi nahi hota ,
Mera yoon tere liye intezaar Krna ek aas toh thi ki hum dobara jarur milenge .
Ab inn bhaari raato ka kya kru mein, jo sone nahi deti mujhe,
Hmm bhari saanso ka kya meri , jo har pal me tutti Nazar aati h ,
Ab kon hoga mere sirhane jisse me ye keh saku ya mere iss ehsaas ko samjh sake koi .

©be_happy
  #haqnarhatujhperabmera