Mai uss waqt chup si hairan Reh gyi Mai uss waqt chup si hairan Reh gyi Jab meri galati na hone per Bhi meri hi galati nikali gyi Mai uss waqt chup si hairan Reh gyi Jab mujhse hi maafi mangne ko Kaha gya Mei uss waqt chup si hairan Reh gyi Ja mujhe kaha gya ki tum rishte Bigad dogi Mei sochti reh gyi Kya yahi mera astitva h Kya yahi meri pehchan h Kya yahi meri takdir h Han,mei phir bhi chup si bas Hairan hi reh gyi Aaj bhi kanhi na kanhi rishton ko Todne ka ilzam aurato per hi Aata h Aaj bhi samaj mei unhe hi rulaya Jata h Galati un logo ki nhi h Galati unki h jo ek mitti se Bane ghar ko bachane ke Liye apne aansoowo ko baha kr Mann shant kr leti h Galati unki hi h jo Tanno ke zeher ko bhi amrit samjh kr pi jati h Pata h kyu???????? Taki wo sirf ek ghar ko hi nhi Per uss ghar mei rehne wale logo Ko jodd ske Kab samjhoge aab Kaise samjhoge aab Ruk jao aur mat rulaye Ruk jao aur mat satao Aab toh unhe uss galatiyon ko Krne se roko Aab toh use samjho Aab toh raah per aao Aab toh prem jatao Aab toh samaan dilao Aab toh samaan dilao........... #reality #plss read and like # women