Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hey listen, I know, Tum thak gye ho, Pareshan ho,

Hey listen,
I know,
Tum thak gye ho,
Pareshan ho,
Ek nhi , do nahi, kayi tarha ki paresaahniyaan hai tumhaari jindgi mein,
Khud ko iss kabil banana hai ki abtak jinke sahare thi jindgi, unko Sahara de Sako, Jo khwaishein unhone apni adhuri chor di unhein pura kar sako, har choti badi khushiyan de paao jinke haqdaar hai wo, 
Ek umar dhalte pita ka Sahara ho tum,
Andhere asmaan me chamkta Sitara ho tum,Or yakeen maano,
Tum ye kar sakte ho,
Tum apni kabiliyat ko aise nakaaro nahi,
Balki use or jyada nikharo,
Dekhna ek din uski chamak tumhare jindgi ke iss kale ghane adhere ko bilkul miltaa kar rakh degi,
Or fir wo ek din aayega,
Jab tum apni kabiliyat se jindgi ki tamam mushkilon ko par kar ke ek naya mukaam hasil karoge,
Or tab aaj jo ye log tumhein kamjor or naakara samjhte hai na,
Tumhari baatein karte thakengai nahi,
Bas hosla rakh, or Vishwas kar ek din tumne wo sab kuch paa lena hai jiske haqdar ho tum

©Nandita Singh
  #motivatation #nandu23 #nojotohindi #Feeling