Nojoto: Largest Storytelling Platform

Yadon k karwan me ek daur yun aya ki hm ,hm na rhe

Yadon k karwan me ek daur yun aya ki hm ,hm na rhe aur wo wo na rhe..Smjh to tb aya jb zindagi uljhano m padi, rooh ki azmaish hui , wo haar gayi aur wo akela jeet gaya.
Har taraf andhera tha ,sawere jagi to kohra v ghana tha usme v wo bich m khada dikha tha phir se wo jeet gya aur wo haar gayi.
Ek hawas bhari awaz ayi andar se tum aage badho akele, wo haar jayega par karishma to dekho phir se wo haar gyi aur wo jeet gya.
Phir khatm hua ye daur aur wo akeli bechain ho gyi ,usne kayi awazein lgayi par use wo na dikha..Tb ja k zindagi k us raaz se rubaru hui jisse wo anjan thi ye ki Ashiqi ke raqt ragon me jb daudne lage to banda dimagi taur par ahmaq ho jata aur ye h mohabbat k darjon me se ek darja hai to phr smjho aur jano wo ladka phir se jeet gya aur wo phir se haar gyi..
Aur is baar is haar se usne ubharne ki koshish v nhi ki aurr na hi karne ki haqdar bachi kyoki bewafai k darjon m se ek darja tanhai bhi h.Bebasi to dekho bs wo kch khatti mithi yadein hi rah gyi uske pas jise yaad kr wo ab hasti hai phr roti aur phir har khawabon me uski maujudgi ka sahara h jisse wo aage bdha karti hai..
Aur kuch is tarah insan khud se khud ka hi qatil ban jata hai..

©ARIBAH IRSHAD KHAN
  #CrescentMoon