Aaj kalam ki kaali siyaahi gore panno par chadhai, Tanhaai mai apni kahaani kore kaagaz ko bataai, Garm chai ki chuski se zabaan jalaai, Daudti zindagi dekhi tham kar ek pal mai, Ek shaam kuch is tarah bitaai. Apno se nazre churaai, gairo se aakhen ladaai Chai ki har ek chuski mai, Kai haseen yaadon ki yaad aai Ek shaam kuch is tarah bitaai. Dheemi awaaz mai gaane chalaae Us gaane ke lafzo se apne halaat milaae, Ye zabaan hai ki samhali nahi, Dheeme dheeme kuch bol maine bhi gungunaae Sukoon mila dil ko man tasalli na aai, Haqeeqat se bhag rahi thi, Maine tassavur mai apni duniya sajaai, Katne lagi sab se ke zalim duniya ki asliyat mujhe raas na aai, Itna samjhaya ek shaam khudko, Ek shaam kuch is tarah bitaai. -Aditi Pandey