Zindagi ki talkhiyon ko main lafzon me kaise bayan karun Dil se likhun ya fir dimag ka thoda istemal karun Samajhta tha dil jise haseen phoolon ki koi rahguzar Dimag chala to samjh aaya ye to wo gulistan hai Jahan ek gul ke sath khaar hazaar hain Manzil ko paane ke liye in mushkilaat se guzarana hi padega Chahiye gul agar to in khaaron se ulajhna hi padega Hun nhi main bhi hausla haarne walon me se Chattanon ko zer kar dun main to wo insan hu Dekhte hain kab tk rokengi ye mushkilaat-e-rahguzar Pahunchunga ek din akhir main unchayion pe is qadar Manzil hogi meri apni aur main suna sakunga daastan-e-safar. #zindagi #rahguzar #mushkilaat #safar #manzil #yqbaba #newwritersclub #yqdidi