Nojoto: Largest Storytelling Platform

Sukoon ki yaha pe zindagi bitaane me Sukoon chhorn

Sukoon ki yaha pe zindagi bitaane me
Sukoon chhorna pada mujhe zamane me

Wo badshah tha magar dil bauhat hi chota tha
laga ke rakhta tha taale sabhi khazane me 

Ameerzade ne sabzi ko aadha phenk dia
lagi thi saalo ki mehnat jise ugaane me

Na dekh skta tha ankho me jo kbhi ansu
faraq nahi pda usko mujhe rulane me

Koi mushkil nahi izhare muhabbat Zaamin
Pata chlti hai haqiqat ise nibhane me

©Zaamin Abbas Ek Soch.
Sukoon ki yaha pe zindagi bitaane me
Sukoon chhorna pada mujhe zamane me

Wo badshah tha magar dil bauhat hi chota tha
laga ke rakhta tha taale sabhi khazane me 

Ameerzade ne sabzi ko aadha phenk dia
lagi thi saalo ki mehnat jise ugaane me

Na dekh skta tha ankho me jo kbhi ansu
faraq nahi pda usko mujhe rulane me

Koi mushkil nahi izhare muhabbat Zaamin
Pata chlti hai haqiqat ise nibhane me

©Zaamin Abbas Ek Soch.
zaaminabbas6539

Zaamin Abbas

New Creator