kaun hai wo? waise to kisi shabd mein itni takat nahi hai jo iss insaan ke baare mein likh sake pr to bhi ek koshish hai. Aap wo ho jisne mujhe zindagi di meri aankhon ke phele nazare ho aap. mere phele laphz ho aap. mere hasne se wo has deti mere rone se wo ro deti. Jab akele rahi to uski yaad aayi,jab neend na aaye to uski yaad aayi,jab bhuk lage to uski yaad aayi, jab andhere mein thi to uski yaad aayi. Jab koi na lage in aankhon ko payara uss waqt bhi in aankhon ka intezaar ho aap. ye wo hai jo humse jada humare baare mein sochti hain .har rishtey mein dar hota hai ki wo humse dur ho jayege ya hume choodenge pe iss rishtey mein wo dar bhi nahi. mere dil ke sabse karib hai wo kaun hai wo? wo meri maa hai. ©Manishi Gupta #MothersDay #payarimaa