#OpenPoetry "Library" Ak kone me mujase dur, khud me khoya sa kuchh apane me mast, kuchh kitabo me vyast koi apana dikhane vala anjana sa baitha tha. Vo kitabo me khoya tha, jaise kai rato se nai soya tha kuchh meri najaro ka ahesas khud pe ab sayd usako bhi hua tha. Hawaye ruk jati hai , sanse tej ho jati hai aesa humne bhi kahi suna tha par jab usane muje dekha, aur maine use dekha toh aesa toh kuchh nai hua tha bas mano koi adhura raha hua barso ka khwaab aaj usaki aankho me pura hua tha Ye najaro ka dor ab harroj hone laga tha ishq ka nasha mano dil dimag par chada hua tha Vo kabhi bich me gayab ho jata tha aur humari jindagi me mano andhera chha jata tha aate jate har kadam me usaki parchai dundhte the najare kitabo me kam darwaje par jyada rakhate the Use dekh kar dil me nayi ummid jagi thi isiliye aaj humne apani khurasi usi ki tabale par rakhi thi par aaj nai aaya vo sayad vo ja chuka tha vapas nahi aane k liye aur ummid badhate gaye the hum chot khane ke liye aaj itane dino baad sochati hu toh aesa lagta hai jise in aankho ne hajaro baar dekha tha vo apna sa anjana sach tha ya fir in aankho ka hasin koi dokha tha #OpenPoetry