Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dilse dil tak awazto pohunchti hogi, Chahe koi bay

Dilse dil tak awazto pohunchti hogi,
Chahe koi bayan kare ya na kare..
Unki khamoshi jaise humeh mehsus hai hoti,
Humari yaad sayed unhe aati to hogi.
Ab chahe unhe yeh iqraar ho ya inkaar,
Humari kami kahin na kahin khalti to hogi yaar.
Lagta hai kuch kehna hai unko humse,
Par poonchte haito barbar hai baatko talte.
Kyun nehi sach batate khulke humeh yaar??
Humse chhupana bhi to hai bekar.
Chehreko dekhke pata chal jata hai humeh
Tumhare dilka haal,
Tumhare jhutka andaza bhi humeh hai yaar.
Kyunke humeh ehsaas hai ab bhi tumhare dilka,
Akhir sachche dilse kya hai tumse pyaar.
Chupaneki firaqme apne dilka haal,
Dilhi dilme dabate ho apne jazbaat.
Berukhi karke humse barbar,
Najane kyun duriyaan barhate ho mere yaar??
Sachka ilm shayed tumhe bhi nehi...
Isiliye nirdoshko bematlab saza dete ho harbar.
Yun berukhise duriya barhaneki tarqeeb hai bemisal,
Paar sachche hai hum aur jhutonpe kiya tumne aitbar...
Asliyat jab samne ayegi sabke jhutki to tumhe zarur hoga yeh malal.
Ke ek niswarth rishteyko tumne kiya kharab,
Apni zidke aage tumne sach dekhnahi chhor diya janab.
Tumse to siwaye pyaarke kuch na chaha tha humne,
Par humeh to begairat hi samjah liya tumne.
Jhutonpe aggar itnahi pyar aaya tumhe to...
Atitme humeh saza kyun mili tumse baatein chupaneki??
Dilme jo hai baatein chupi woh batado,
Kahin humeh khoneke baad afsos na ho tumhein... humse baatein chupaneki.

©NR (Dilki baatein shabdonme...)
  #BahuBali#monabi