Kaise yha sab thehra sa hai Ganga behti hui aur shiv ka pehra sa hai Ek ajeeb sa sukoon hai hawaaon me Shaant hua to samjha Mann kitna gehra sa hai Sooraj ki tez kirane ganga me pad Uska paani chamkeela kar rhi hain Aur ye dekh antarmann aur aatma meri Maya ki pakad ko dheela kar rhi hai . . . . . . . . . . . . . . . Nishchint Mann ab kisi bhi iccha ke Peeche nhi bhaag rha Mai aur chanchal mann mera aaj ki tarah Bht kam hi saath rha Kabhi kabhi lagta hai ki aise sab kuch kinaare kar Kisi nadi ke kinare aake baithna bht zaroori sa hai Bhaag daud me pata nahin chalta ki shaant mann Kitna maar rha khud ko aur kitna pasoori sa hai . . ©Prakharlikhtehain Sukoon